Hindi Poem on Child Labour | Stop Child Labour Poem in Hindi | Hindi Poems For Kids | Hindi Rhymes For Children
Aaj Jab Chinu Ko
Hotel Mein Palte Dhote Dekha
Tabhi Apne Bachpan
Mein Maine Jhaank Ke Dekha
Roz Naye
Chamchamate Bartano Mein
Mujhe Milta Tha
Man Chaha Khana
Nahi Socha Main
Kabhi Bhi
Kaise Chamakte
Bartan Rozana
Parishram Hota
Mere Liye Bas Itna
Apne Bag Ko School
Le Jana
Aur Dosto Ke Sath
Khelte Khelte Thak
Jana
Kagaj Ke Note Tab
Samajh Na Aate
Gullak Mein Bas
Sikke Chhanchhanate
Fal Mehnat Ka Hota
Hai Meetha
Meri Maa Ne Mujhe
Sikhaya Tha
Par Mehnat Ka
Matlab Bas
Likhna Panda
Bataya Tha
Kyon Chintu Ka
Bachpan Nahi Bachpan Jaisa
Kash Na Hota
Duniya Mein Koi Baccha Aesa!
Post a Comment Blogger Facebook